70 Patriotic Dialogues From Bollywood Movies To Show Your Josh
Here are 70 movie dialogues that will boost up the Josh in you.
Movie - Ab Tumhare Hawale Watan Sathiyo
1- Aao jhuk kar salaam kare unhe jinke hisse mein yeh mukaam aata hai ... kis kadhar khush naseeb hai woh log ... khoon jinka watan ke kaam aata hai
2- Maut ke mandiyon mein ja-jakar apne beto ki boliyan di hai ... desh ne jab bhi ek sar manga, humne bhar-bharke jholiyan di hai
Movie - Border
3- Hum hi hum hai toh kya hum hai ... tum hi tum ho toh kya tum ho
4- Hum toh kisi doosre ki dharti par nazar bhi nahi dalte ... lekin itne nalayak bachche bhi nahi hai ... ki koi hamari dharti maa par nazar daale aur hum chup chap dekhte rahe
5- Shayad tum nahi jaante … yeh dharti sher bhi pehda karti hai
Movie - LoC Kargil
6- Some goals are so worthy ... it's glorious even to fail
7- A soldier lives by chance, loves by choice and kills by profession
Movie - Ghazi Attack
8- Kya hai sainik hona ... aaj hamare desh ka kisaan kheton mein logon ke liye anaaj ugha raha hai ... bina kisi fikr ke, kyun ... kyun ki usse pata hai ki seema par hum khade hai ... maa har subah khushi khushi apne bachon ko school chhodkar aati hai ... uske mann mein koi dar nahi hota, kyun ... kyun ki usse pata hai ki seema par hum khade hai ... is desh ka har ek insaan, har roz kadi mehnat karta hai ... apne pariwar ke bhavishya ke liye ... apne bachon ki tarakki ke liye ... usse unki suraksha ki koi chinta nahi hoti, kyun ... kyun ki usse pata hai ki seema par hum khade hai aur rahenge ... is bharose ko nibhana, yeh hota hai sainik hona
9- Jung joh hai na, shaheed hokar nahi ... dushman ko shaheed karke jeeti jaati hai
Movie – URI:The Surgical Strike
10- Yeh Hindustan ab chup nahi behtega ... yeh naya Hindustan hai ... yeh ghar mein ghusega bhi aur maarega bhi
11- Farz aur farzi mein bas ek maatra ka antar hota hai
12- How’s the josh? High sir.
Movie - The Accidental Prime Minister
13- Mujhe koi credit nahi chahiye. Mujhe apne kaam se matlab hai kyunki mere liye desh pehle aata hai.
Movie - Jo Bole So Nihal
14- Mard marta hai toh apni aankhen tirange ki taraf karke marta hai ... aur yeh sochta hai ki phir se is desh ke liye kab pehda hoon
Movie - Gadar Ek Prem Katha
15- Hamara Hindustan zindabad tha, zindabad hai, aur zindabad rahega!
Movie - Indian
16- Chahe humein ek waqt ki roti na mile, badan pe kapde na ho, sarr pe chatt na ho ... lekin jab desh ki aan ki baat aati hai ... tab hum jaan ki baazi laga dete hai
17- Hum haath milana bhi jaante hai, haath ukhaadna bhi ... hum Gandhiji ko bhi poojte hai, Chandra Shekar Azad ko bhi ... main bhi pehle pyar se samjhata hoon, phir hathyar se
Movie - Krantiveer
18- Saale apne khud ke desh mein ek sui nahin bana sakte ... aur hamara desh todne ka sapna dekhte hain
Movie - Ma Tujhe Salaam
19- Tum doodh mangoge hum kheer denge ... tum Kashmir mangoge hum cheer denge
Movie - Namaste London
20- Ek Catholic aurat Pradhan Mantri ki kursi ek Sikh ke liye chod deti hai ... aur ek Sikh Pradhan Mantri pad ki shapath ek Muslim Rashtrapati se leta hai ... us desh ki bhag daud sambhalne ke liye jisme assi pratishad log Hindu hai
Movie - Holiday
21- Tum log parivaar ke saath yahan chain se jeeo ... is liye hum log roz border par marte hai
22- A soldier is never off duty
Movie - Chak De India
23- Mujhe states ke naam na sunai dete hai na dikhai dete hai ... sirf ek mulk ka naam sunai deta hai I-N-D-I-A
Movie - Once Upon A Time In Mumbai
24- Desh se wafaadari, kisi ek shaks se gaddari se kahin zyada badhkar hoti hai
Movie - Rang De Basanti
25- Ab bhi jiska khoon na khaula, khoon nahin voh paani hai ... joh desh ke kaam na aaye woh bekaar jawani hai
26- Koi bhi desh perfect nahin hota … usse behtar banana padta hai
Movie - Rustom
27- Meri uniform meri aadat hai ... jaise ki saans lena, apne desh ki raksha karna
Movie - Heroes
28- Tere vaaste ek lakh jawaniyan ... par yeh jawani desh ke liye
29- Maa achchi hai ... apna khayal rakhti hai ... aur main desh ka khayal rakhta hoon
30- Hum sirf apne baare mein soochte hai ... lekin ek fauji poore desh ke baare mein soochta hai
31- Bhagwa, safed, hara jeevan chakra mera ... karm, satya, dharti maa inhi mein main pala ... Bharatiya main jana, Bharatiya hi chala, Bharatiya main jeeyon, sada Bharatiya rahoon ... bhagwa, safed, hara jeevan chakra mera
32- Humare yahan jawan marte nahin hai… ya toh vijayi lautte hai ya amar!
Movie - Baby
33- Mil jaate hai kuch officers hum mein todhe pagal, todhe adhiyal ... jinke dimaag mein sirf desh aur desh bhakti ghumti rehti hai ... yeh desh ke liye marna nahi chahte, balki jeena chahte hai ... taki aakhri saans tak desh ki rakhsha kar sake
34- Religion wala jo column hota hai , usme hum Bold aur CAPITAL me INDIAN likhte hai.
Movie - Tahalka
35- Bechkar imaan kamai daulat toh insaan kya ... namak khaya jis watan ka, ussi ka na hua toh Musalman kya
Movie - Wednesday
36- They asked us this question on a Friday, repeated it on Tuesday ... I'm just replying on Wednesday
Movie - Cammando 2
37- Desh ki seva karne mein joh maze hai na ... woh kisi aur mein nahi hai
Movie - Shaurya
38- Border pe marne se zyada bada nasha koi nahin hai
39- Jung mein jab shoot karne ka order dete hai toh, kab kahan kaise uska toh pata hota hai magar kyun ... fauji ko na yeh batate hai, na usse janane ka haq hota hai
40- Shaurya sirf kisi ko maar girane ko nahi kehte, shaurya sirf salaami dene ko nahi kehte … shaurya toh hamare bahut andhar hota hai … ek hausla, ek himmat
Movie – Mangal Pandey
41- Yeh azaadi ki ladai hai…. Guzre hue kal se azaadi… aane wale kal ke liye….
Movie - Yaariyan
42- Zindagi mein sabse badi khushi tab milti hai.. jab aapki country ka flag shaan se lehra raha hota hai…
Movie - Parmanu
43- Hum duniya ki nazaron mein girenge ya khare utrenge ... yeh pata nahi ... lekin itna yakeen hai ... ki hum khud apne aap se nazarein milake yeh keh payenge ... ki humne joh socha woh desh ke liye tha ... humne joh kiya woh desh ke liye hai ... aur humne joh paaya woh desh ka hoga
44- Ab hum darke shaant nahi baithenge ... karke shaant baithenge
45- Hero vardi se nahi ... iraade se bante hai
Movie - Baaghi 2
46- Brabari Ka Mauqa De… Tujhai Fauj Ke Takat Dekhata Hoon
47- Pather To Theek Tha Sir… Unhe Tiranga Nahe Jalana Chaheyai Tha
48- There Is Nothing Personal In The Army
Movie - Raazi
49- Watan ke aage kuch nahi ... khud bhi nahi
50- Hamare itihaas mein aise kayi log hai jinhe koi inaam, koi medal nahi milta ... hum unka naam tak nahi jaante ... na hi unhe pehchante hai ... sirf watan ke jhande par apni yaad chhod jaate hai
Movie - Mulk
51- Ek mulk kagaz pe naksho ki lakeeron se nahi batta ... mulk batta hai rang se, bhasha se, dharam se, zaat se
52- Hum aur woh milke is mulk ko thodi na banate hai ... hum is mulk ko banate hai
Movie - Anna
53- Hindustan ki dharti par yeh tiranga issi tarah shaan se lehrata rahega ... jab tak Bharat maa ki rakhsha yeh sher sipahi karta rahega
54- Hindustan ka sipahi jung ka maidan do hi suraton mein chhodta hai ... ya toh jeet haasil karke ... ya desh ke liye kurbaan hoke
Movie – S.P. Chauhan
55- Desh ko agar mazboot karna hai toh neev ko mazboot karna hoga
56- Band aankhon se teer chalane wal ebhi hote hai humare yahan, aur meri aankhen toh abhi bhi sahi salaamat hai…
Movie - Lakshya
57- Yeh Indian Army hai, hum dushmani mein bhi ek sharafat rakhte hai.
Movie – Jai Ho
58- Ek sachche desh bhakt ko hum fauj se nikaal sakte hai ... lekin uske dil se desh bhakti nahi
Movie – Kaante
59- No matter how he is, there are 2 things an Indian does not like ... one a loss in cricket ... second an attack on his nation
Movie – Swadesh
60- Main nahi manta hamara desh duniya ka sabse mahaan desh hai ... lekin yeh zaroor manta hoon ... ki hum mein kabliyat hai, taqat hai, apne desh ko mahaan banane ki
Movie - Bang Bang
61- Joh desh ke liye ladte hai ... unki maut ka countdown unki pehli saans ke saath shuru ho jaata hai
Movie – Sarabjit
62- Aap logon ko bas peeth par vaar karna aata hai ... par hum Hindustaniyon ne kabhi peeth dikhana seekha hi nahi hai
Movie – Pukar
63- Hum Hindustaani ek hai aur ek hi rahenge…aur desh ke hare k dushman ko milkar marenge
Movie – Airlift
64- Agar humari pehchaan hai toh sirf ek, ki hum Kuwaiti nahi, hinustani hai. Saath hai toh kuch hain, warna nothing!
Movie – Purab Aur Pashchim
65- Desh par marne wala kabhi nhi marta
Movie – 72 Hours
66- Hum log laute na laute, ye baxe laute na laute, lekin humari kahaniya zaroor lautengi
Movie - Soorma
67- Ja beta….thok de!
Movie – Gold
68- Abhi Tak India Chup Tha. Ab Hum Log Bolega Aur Duniya Sunega
69- Humaray Ghar Mein Inqlaab Zinda Baad Pehlai Hota Hai Fir Nashta Hota Hai
Movie – Tiger Zinda Hai
70- Shikaar toh sab karte hai. Lekin Tiger se behtaar shikaar koi nahin karta.