In the words of Bismil, ‘Saans banke aap gun gunayenge aani wali har naslo mein’.
Rahat Indori, a very popular and loved Urdu poet (shayar) has created a void in our lives by departing to heaven. He had a very peculiar way of presenting wit and humor by way of his poetry - one thing that kept him different from the other Urdu Shayars (Poets).
All the more, what would be greatly missed is his stage presence, his interaction with the audiences, and his way of presenting poetry. Many youngsters who loved poetry or were aspiring poets dreamt of having a presentation, pronunciation, and diction like him.
However, Rahat Indori Sahab always politely emphasized that the world will not want to see or listen to another Rahat Indori. He advised that one must stick to originality and experiment with your own qualities instead of copying.
Many in India and abroad are pained to hear of the demise of eminent poet and lyricist Rahat Indori Sahab. His eloquent shayari and poetry will always be cherished in our memory. Here are some of the best Rahat Indori shayari, poetry, couplets, and ashars.
Rahat Indori Shayaris That Will Make Him Immortal in Our Lives
1) Afwah Thi Ki Meri Tabiyat Kharab Hai, Logon Ne Pooch Pooch Kar Beemar Kar Diya,
Do Gaz Sahi magar Ye Meri Malkiyat To Hain, Ae Mout Tune Mujhko Zameedar Kar Diya.
2) Mai Marr Jaun To Meri Ek Alag Pehchaan Likh Dena,
Lahu Se Meri Peshaani Pe Hindustaan Likh Dena.
3) Haath Khali Hai Tere Sheher Se Jate Jate, Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jate,
Ab To Har Haath Ka Patthar Hame Pehchaanta Hai, Umr Guzri Hai Tere Sheher Me Aate Jaate.
4) Janaaze Pe Mere Likh Dena Yaaron,
Mohabbat Karne Waala Jaa Raha Hai.
5) Lagegi Aag To Aayenge Ghar Kai Zad Me
Yahan Pe Sirf Hamara Makan Thodi Hai
Main Jaanta Hoon Ke Dushman Bhi Kam Nahi Lekin
Humari Tarah Hatheli Pe Jaan Thodi Hai
Humare Muhn Se Jo Nikale Wahi Sadaakat Hai
Humare Muhan Tumhari Zuban Thodi Hai
Jo Aaj Saahibe Masnad Hain Kal Nahin Honge
Kiraaydaar Hain Jaati Makaan Thodi Hai
Sabhi Ka Khoon Shaamil Yahan Ki Mitti Me
Kisi Ke Baap Ka Hindustan Thodi Hai
6) Zindagi Ki Har Kahani Be-asar Ho Jayegi, Hum Na Honge To Ye Duniya Darbadar Ho Jayegi,
Paaon Pathar Karke Chodegi Agar Jaiye, Chalte Rahiye To Zameen Bhi Humsafar Ho Jayegi
7) Ab Na Main Hoon Na Baki Hai Zamane Mere, Phir Bhi Mashhoor Hai Shehron Mein Fasane Mere,
Zindagi Hai To Naye Zakhm Bhi Lag Jayenge, Ab Bhi Baaki Hai Kai Dost Purane Mere
8) Roz Taaron Ko Numaish Me Khalal Padta Hai,
Chand Pagal Hai Andhere Me Nikal Padta Hai.
9) Ajnabi Khwaishein Seene Me Daba Bhi Na Sakun,
Aise Ziddi Hai Parinde Ki Uda Bhi Na Sakun!
10) Ishq Me Gunje The Jo Gajre, Nukile Ho Gaye
Tere Hath Me To Ye Kangan Bhi Dheele Ho Gaye
Phool Bechare Akele Reh Gaye Hai Shaakh Par
Gaaon Ki Sab Titliyon Ke Saath Peele Ho Gaye.
11) Bulati Hai Magar Jaane Ka Nahi, Ye Duniya Hai Idhar Jaane Ka Nahi,
Mere Bete Kisi Se Ishq Kar, Magar Had Se Guzar Jaane Ka Nahi
Zameen Bhi Sar Par Rakhni Ho To Rakho, Chale Ho Toh Teher Jaane Ka Nahi,
Sitaare Noch Kar Le Jaunga, Main Khali Haath Ghar Jaane Ka Nahi,
Ye Duniya Chodna Manzoor Lekin, Watan Ko Chod Kar Jaane Ka Nahi.
12) Aankh Mein Paani Rakho, Honton Pe Chingari Rakho,
Zinda Rehna Hai To Tarkiben Bahut Saari Rakho
13) Apni Pehchaan Mitane Ko Kaha Jata Hai, Bastiyan Chhodkar Jaane Ko Kaha Jata Hai,
Pattiyan Roz Gira Jaati Hai Zehreeli Hawa, Aur Hume Ped Lagane Ko Kaha Jaata Hai.
14) Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyun Hain, Itna Darte Hain Toh Ghar Se Nikalte Kyun Hain
15) Hum Ab Makaan Mein Taala Lagane Wale Hai, Pata Chala Hai Mehmaan Aane Wale Hain
16) Yun Toh Har Phool Par Likha Hai Todo Mat, Dil Machalta Hai Toh Kehta Hai Chodo Mat
17) Nahi Hawaaon Ki Sohbat Bigaad Deti Hai, Kabootro Ko Khuli Chat Bigaad Deti Hai,
Aur Jo Jurm Karte Hain Itne Bure Nahi Hote, Saza Na Dekar Adaalat Bigad Deti Hai
18) Ban Ke Ek Hissa Akhbaar Mein Aa Jayega, Jo Nahi Hoga Wo Akhbar Mein Aa Jayega,
Chor Uchkkon Ki Karo Kadar, Kya Maloom Kaun Kab Kaunsi Sarkaar Mein Aa Jayega
19) Kabhi Mehek Ki Tarah Hum Gulon Se Udte Hain, Kabhi Dhue Ki Tarah Parvaton Se Udte Hain,
Ye Kaichiyan Hume Udne Se Khaak Rokengi, Ki Hum Paro Se Nahi Hauslon Se Udte Hain
20) Meri Khwaish Hai Ki Aangan Mein Deewar Na Uthe, Mere Bhai Mere Hisse Ki Zameen Tu Rakh Le
21) Safar Ki Had Hai Wahan Tak Ki Kuch Nishaan Rahe, Chale Chalo Ki Jahan Tak Ye Aasmaan Rahe,
Ye Kya Uthaye Kadam Aur Aa Gayi Manzil, Maza Toh Tab Hai Ki Pairon Mein Kuch Thakaan Rahe
22) Ek Hi Nadi Ke Hain Ye Do Kinare Doston, Dostana Zindagi Se, Maut Se Yaari Rakho
23) Hum Se Pehle Bhi Musafir Kai Guzre Honge, Kam Se Kam Raah Ke Pathar Toh Hatate Jaate!
24) Phook Dalunga Main Kisi Roz Dil Ki Duniya, Ye Tera Khat Thode Hi Hai Ki Jala Bhi Na Sakun
25) Main Aakhir Kaunsa Mausam Tumhare Naam Kar Deta,
Yahan Har Ek Mausam Ko Guzar Jaane Ki Jaldi Thi
26) Zubaan Toh Khol, Nazar Toh Mila, Jawaab Toh De,
Main Kitni Baar Luta Hoon, Mujhe Hisab Toh De
27) Shaakhon Se Toot Jaye Wo Pattey Nahi Hai Hum,
Aandhi Se Koi Keh De Ki Aukaat Mein Rahe
28) Kahin Akele Mein Mil Kar Jhinjhod Dunga Use, Jahan Jahan Se Won Toota Hai, Jod Dunga Use,
Mujhe Wo Chod Gaya Ye Kamaal Hai Uska, Irada Maine Kiya Tha Ki Chod Dunga Use
29) Pyaas Toh Apni Saat Samundar Jaisi Thi, Nahaq Humne Baarish Ka Ehsaan Liya
30) Chiragon Se Gharana Chal Raha Hai, Hawa Se Dostana Chal Raha Hai,
Naye Kirdaar Aate Jaa Rahe Hain, Magar Natak Purana Chal Raha Hai
31) Na Humsafar Na Humnasheen Se Niklega,
Humare Paaon Ka Kaata Hum Hi Se Niklega
32) Ye Hawayein Ud Na Jayein Le Ke Kaghaz Ka Badan,
Doston Mujh Par Koi Pathar Zara Bhari Rakho
33) Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye, Dushmano Se Bhi Rai Lee Jaye
34) Yahan Dariya Par Pabandi Nahi, Magar Pehre Labon Par Lag Rahe Hain
35) Duniya Bhi Kisi Fakeer Ke Hujre Se Kam Nahi, Duniya Yahin Par Laa Kar Chupa Deni Chahiye
36) Jugnuon Ko Sath Lekr Raat Roshan Kijiye, Raasta Sooraj Ka Dekha Toh Seher Ho Jayegi
37) Aate Jaate Hain Kayi Rang Mere Chehre Par, Log Lete Hain Maza Tumhara Zikr Kare
38) Muntazir Hoon Ki Sitaron Ki Zara Aankh Lage, Chaand Ko Chhat Par Bula Loonga Ishara Karke
39) Sheher Kya Dekha Ki Har Mazar Mein Jaale Pad Gaye,
Aisi Garmi Hai Ki Peele Phool Kaale Pad Gaye
40) In Raaton Se Apna Rishta Jaane Kaisa Rishta Hai,
Neend Kamro Mein Jaagi Hai, Khwaab Chhaton Par Bikhre Hain
41) Sirf Khanjar Nahi Aankhon Mein Paani Chahiye, Ae Khuda Mujhe Dushman Bhi Khandaani Chahiye
42) Shaam Tak Laut Aaunga Haaton Ka Khalipan Liye,
Aaj Phir Nikla Hoon Main Ghar Se Hatheli Choom Kar
43) Sakht Rahon Me Bhi Asaan Safar Lagta Hai,
Ye Meri Maa Ki Duaaon Ka Asar Lagta Hai!
Rahat Indori was good friends with Jaun Elia, another great Urdu poet who left us in the year 2002. In an appearance on the Kapil Sharma Show, he narrated an incident remembering his dear friend, which takes us back to an Urdu Mushaira in the 1990s where both these legendary Urdu poets were invited.
Rahat Indori Sahab asks Jaun Elia Sahab, “How much time will it take to reach there?” as they were seated in the car and moving towards their destination which was really far. To this, Jaun Elia Sahab politely responded, “Just two to four pegs!”. And everyone bursts out laughing. We hope both of them will rest in peace.
Rahat Indori Sahab’s shayaris will be loved by generations that are yet to come for their uniqueness, language, presentation, wit, and underlying humor. The power of his pen & words will always be unmatched.
It's not just India; the world has lost a legend whose poems will be an inspiration for the generations to come. He was one of the most powerful, prolific, and inspiring poets of India. He was the greatest Urdu shayar (poet) of his time and a very celebrated one. Rest In Power, Rahat Indori Sahab.
Read More Shayaris by: Mirza Ghalib | Piyush Mishra | Allama Iqbal | Jaun Elia | Gulzar
Explore: Feeding Trends | Events