30 Parveen Shakir Urdu Poetries That Express Feelings of Women
Praveen Shakir (24 November 1952- 26 December 1995) was a Pakistani poet, teacher, and civil servant of the Government of Pakistan. She is best known for her poems, which brought a distinctive feminine voice to Urdu literature, and for her consistent use of the rare grammatical feminine gender of the word “lover”.
Since her death, the “Parveen Shakir Urdu Literature festival” has been held every year in Islamabad in her Memoriam. Shakir’s poems are known for their in-depth exploration of sensitive topics rarely talked about, especially for women. She used to write poems, prose, ghazals under her pen-name “beena”.
In this Feeding Trends article, we present some of the best Parveen Shakir Urdu poetry for you to cherish. Her poems are all about the pain in love, a humiliation in love, freedom for girls, separation of her beloved, reunion with her beloved. Here we begin with our list of Parveen Shakir Urdu poetry that expresses the true feelings of women!
1. Tere dildaar tabasum aakhir,
Nakhun-e-azar se kya dil ki girah kholega,
Aankh jab jhoot kahe..
Aaina kya bole ga?
2. Wo ja chuka hai,
Magr judai se qabal ka,
Ek naram lamha
Thehar gaya hai.
Meri hatheli ki pusht pr,
Zindagi main,
Pehli ka chand ban kar.
3. Ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki.
Us ne khushboo ki tarah meri pazirai ki.
Kaise keh doon ke mujhe chor diya hai us ne;
Baat to sach hai magar baat hai ruswai ki.
Vo kahin bhi gaya lauta to mere paas aaya;
Bas yahi baat hai achi mere harjai ki.
Tera pahalo tere dil ki tarah abad rahe;
Tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki.
Us ne jalati hui peshani pe jo hath rakha;
Rouh tak aa gayi taseer maseehai ki.
4. Mumkina faislon me ek hijr ka faisla bhi tha,
Humne to ek baat ki, usne kamal kar dia.
5. Humne lautne ka irada nahi kiya
Usne bhi bhool jaane ka waada nahi kiya
Dukh odhte nahi kabhi jashn-e-tarab
Malboos-e-dil ko tan ka labda nahi kiya
Jo gham mila hai uska bojh uthaya hai khud
Sar zer-e-baar-e-saagar-o-baada nahi kiya
Kaar-e-jahan hume bhi bohot the safar ki sham
Usne bhi iltifat zyada nahi kiya
Aamad pe teri itr o charag ho subu na hon
Itna bhi bud-o-bash ko sada nahi kiya
6. Bahut roya wo hum ko yaad kar ke
Humari zindagi barbad kar ke
Palat kar phir yahin aa jaenge hum
Wo dekhe to hamen azad kar ke
Rihai ki koi surat nahin hai
Magar haan minnat-e-sayyad kar ke
Badan mera chhua tha us ne lekin
Gaya hai ruuh ko abad kar ke
Har aamir tuul dena chahta hai
Muqarrar zulm ki miad kar ke
7. Wo to khushbu hai hawaon mein bikhar jaega
Masala phuul ka hai phuul kidhar jaega
8. Main sach kahungi magar phir bhi haar jaungi
Wo jhut bolega aur la-jawab kar dega
9. Kaise keh doon ki mujhe chhod diya hai us ne
Baat to sach hai magar baat hai rusvai ki
10. Chalne ka hausla nahin rukna muhal kar diya
Ishq ke is safar ne to mujh ko nidhal kar diya
11. Ab to is raah se vo shakhs guzarta bhi nahin
Ab kis umeed pe darvaze se jhanke koi
12. Hum to samjhe the ki ik zakhm hai bhar jaega
Kya khabar thi ki rag-e-jan men utar jaega
13. Yun bichadna bhi aasan nahi tha us se magar
Jaate jaate us ka wo mud kar dobara dekhna
14. Bas ye hua ki us ne takalluf se baat ki
Aur ham ne rote rote dupatte bhigo liye
15. Kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi
Main apne haath se us ki dulhan sajaungi
16. Ladkiyon ke dukh ajab hote hain sukh us se ajeeb
Hans rahi hai aur kajal bheeg raha hai saath saath
17. Apne qatil ki zehanat se pareshan hun mai
Roz ik maut nae tarz ki ijad kare
18. Paas jab tak vo rahe dard thama rahta hai
Phailta jaata hai phir aankh ke kajal ki tarah
19. Kanton mein ghire phool ko choom aaegi lekin
Titli ke paron ko kabhi chhilte
20. Jugnu ko din ke vaqt parakhne ki zid karen
Bachche humare ahd ke chalak ho gae
21. Apni rusvai tere naam ka charcha dekhun
Ik zara sher kahun aur main kya kya dekhun
22. Us ne jalti hui pareshan pe jab haath rakha
Rooh tak aa gai taasir masihsa ki
23. Kya kare meri masiha bhi karne vaala
Zakhm hi ye mujhe lagta nahin bharne vaala
24. Tu badalta hai to be-sakhta meri ankhein
Apne hathon ki lakiron se ulajh jaati hain
25. Ik umr ke baad us ko dekha
Ankhon mein sawal the hazar
Honthon pe magar wohi tabassum!
Chehre pe likhi hui udaasi
Lahje mein me magar bala ka thehrao
Awaz mein gunjti judai
Banhein thi magar visal-e-saman!
Simti hui us ke bazuon mein
Tader main sochti rahi thi
Kis abr-e-gurez-pa ki khatir
Main kaise shajar se kat gai thi
Kis chhanv ko tark kar diya tha
Main us ke gale lagi hui thi
Wo ponchh raha tha mere aansu
Lekin badi der ho chuki thi!
26. Main kyun us ko phone karun!
Us ke bhi to ilm men hoga
Kal shab
Mausam ki pahli barish thii!
27. Nannhi ladki
Sahil ke itne nazdik
Ret se apne ghar na bana
Koi sarkash mauj idhar aai to
Tere ghar ki buniyaden tak bah jaengi
Aur phir unki yaad mein tu
Saari umar udaas rahegi!
28. Tumhara kahna hai
Tum mujhe bepanah shiddat se chāhte ho
Tumhari chahat
Visal ka akhiri hadon tak
Mire faqat mere naam hogi
Mujhe yaqeen hai mujhe yaqin hai
Magar qasam khane wale ladke!
Tumhari ankhon mein ek til hai!
29. Main ne saari umar
Kisi mandir mein qadam nahin rakkha
Lekin jab se teri dua mein
Mera naam sharik hua hai
Tere honton ki jumbish par
Mere andar ki daasi ke ujle tan mein
Ghantiyan bajti rahti hain!
30. Husn ko samjhne ko umar chahiye janab
Do ghadi ki mohabbat mein ladkiyan nahi khulti
These are the best of Parveen Shakir Urdu poetry as they honestly express what women feel and expect from their lovers. It is important to note that these lines were written in a time when women didn't have lots of rights and freedom of expression. They have a subtle shyness and charm, which quickly takes you back in time.
While most of these Parveen Shakir Urdu poetry still stand relevant for women of today, you must have felt proud of being a woman after reading them. Do let us know which one of these is your favourite!
Read More:
- 30 Excerpts from Amrita Pritam's Poetry That Keep Her Alive
- 19 Romantic Love Quotes On Broken Hearts And Unkept Promises
- 43 Rahat Indori Shayaris That Will Make Him Immortal in Our Lives
Explore: Feeding Trends | Events