Yeh Jawaani Hai Deewani(YJHD) Throwback: Dialogues, Songs, Characters, And Everything Heart-Winning

May 30, 2020

15 min read

Write your own content on FeedingTrends
Write

Yeh Jawaani Hai Deewani - Movies like these are just made once in a century. And I am sure nobody would disagree with me.

The fantastic work by Ayan Mukerji makes us fall in love with the characters of Bunny, Naina, Aditi, and Avi every time we watch YJHD. It also gives us friendship and travel goals for a lifetime.

Somewhere, in our minds, we start assuming in the place of these characters and that's the reason, even after so many years, the movie has a special spot in our hearts.

Ranbir Kapoor and Deepika Padukone along with Aditya Roy Kapoor and Kalki Koechlin didn’t fail to win our hearts at any point during the movie. 

Apart from the movie itself, the songs, the dialogues, the cast, even the deleted scenes from the movie, became our favorite.

Yeh Jawaani Hai Deewani (YJHD) Characters 

Bunny (Sabka Favorite)

Kabir Thapar, a dreamer and lively boy, who wished to travel and explore the world.

Naina (Beauty With Brains)

Naina Talwar, an introvert and topper, who has a realistic approach towards life. Doctor Naina is simple, mature, and knows about life.

Aditi (Young, Wild, And Free)

Aditi Mehra, the tomboy girl of the group, who is crazy and outspoken. She is a cutie and can go to any extent to defend her friends. 

Avi (Yaaron Ka Yaar)

Avinash Yog, an outgoing, loyal, and flirty person, is a great friend despite all his flaws and bad habits. He's one who is an alcoholic and loves betting, yet values friendship above all.

Songs Of Yeh Jawaani Hai Deewani(YJHD):

The songs of the movie were a big hit as well. The music album is directed by Pritam Chakraborty and contains a song for almost all situations. 

1. Badtameez Dil

Zidd pakad ke khada hai kambhakt, chorna jaane na!

The song is perfect for a party. No matter whether we know how to dance or not, the signature step of Badtameez Dil is performed by all of us. It's sung by Benny Dayal and Shefali Alvares.

2. Balam Pichkari

Itna maza kyu aa raha hai, tune hawa mein bhaang milaya!

The Holi song gave a new revolution to the festive playlist. Now, every year, Balam Pichkari is played on loudspeakers all over the country during the Holi events. The song is sung by Vishal Dadlani and Shalmali Kholgade.

3. Ilahi

Mera falsafa kandhe pe mera basta, mai chala jahan mujhe le chala rasta!

Arijit Singh's Ilahi from YJHD is one of those songs which has acquired a permanent spot in the playlists of almost each and every one. The song defines travelers and wanderers whose lust for discovering new places never ceases to exist.

4. Kabira

Banno re banno meri, chali sasuraal ko, jodi aasmani ho gayi!

Sung by Rekha Bhardwaj and Tochi Raina, Kabira is a perfect wedding song. It will make you emotional at once and make you feel the pain of separation.  

5. Subhanallah

Meri Khamoshi se baatein chun lena, Unki dori se tareefein bun le na!

Another emotional and romantic track from YJHD, sung by Sreeram and Shilpa Rao, Subhanallh. The song will definitely make you nostalgic about your holiday trips with your friends and the scene cooking up between young love birds.

6. Dilliwaali Girlfriend

Tere liye hi to signal tod taad ke, Aaya Dilliwali girlfriend chor chaar ke! 

The party song is a perfect dancing track. Dilliwali Girlfriend is sung by Arijit Singh and Sunidhi Chauhan.

7. Ghagra

Ladke O re Ladke, kahan se aaya hai re tu?

Vishal Dadlani, Rekha Bhardwaj, and Nakash Aziz did well by singing this dancing track but the main catch of the song is Madhuri Dixit Nene. This track, Ghagra, was loved and became popular in all the age groups as soon as it was out.

Once the movie was a hit, a couple of weeks later, the reprised version of the tracks and the Yeh Jawaani Hai Deewani Mashup was released, which again came into highlights and became trending in no time. 

Dialogues Of Yeh Jawaani Hai Deewani(YJHD)

The movie has left a deep impact on the audience with its dialogues and the way they are delivered. The recipe of Yeh Jawaani Hai Deewani contains Friendship, Love, Breakup, Marriage, Flirting, and a lot more.

The whole movie has those catchy dialogues and following are a few of them: 

1. Kabhi kabhi kuch baatein humare yaadon ke kamre ki itni khidkiyaan khol deti hain ki hum dang reh jaate hai. Bahot Khubsurat hoti hai ye yaadon ki duniya, hamare beete hue kal ke chote chote tukde hamari yaadon me hamesha mehfooz rehte hai.

2. Yaadein mithai ke dabbe ki tarah hoti hain, ek baar khula toh sirf ek tukda nahi khaa paoge.

3. Shaadi ke basic concept mein hi jhol hai. Shaadi is daal chawal for pachaas saal till you die. Arey life mein thoda bahut kheema pav, tangdi kebab, hakka noodles bhi hona chahiye na!

4. 22 tak padhai, 25 pe naukri, 26 pe chokri, 30 pe bachche, 60 pe retirement , aur phir maut ka intezaar, dhat aisi ghisi piti life thodi jeena chahta hoon!

5. Main udna chahta hun, daudna chahta hun, girna bhi chahta hun, Bas! rukna nahi chahta.

6. Kehte hai Jungle me jhaadiyon se awaz aaye, to kabhi muda nahi karte!

7. Wahan uss pahad ki hawa me ek nasha sa tha aur wo nasha Ishq tha! Maine apni Zindagi me pehle, itni khushi mehsoos hi nahi ki thi! Pyaar ho gaya tha mujhe. Aur mai uss pahaad ki chhoti se sabko ye baat chilla chilla ke batana chati thi lekin sabse zaada mai use batana chahti thi! Pata nahi Wahan Bhairav ka mandir tha ya nahi Lekin phir bhi ek dua mangna chahti thi, bahot simple, infact sirf ek shabd, Bunny.

8. Tumhare jaisi ladkiyaan flirting ke liye nahi, Ishq ke liye bani hain.

9. Yeh shokhi, yeh adaayen, yeh baankpan ... inki keemat bhala duniya tay kar sakti hai kya!

10. Barkhurdar Husn ka mazaak na uda, kahin husn ke haathon tera mazaak na ban jaaye….. manchala hai, khoobsurat hai, magar ladka hai tu, tujhe ladkon aur mardon mein fark kaun samjhaye.

11. Kahin pe pahunchne ke lie kahin se nikalna bahut zaruri hota hai. Sahi waqt pe kat lena chahiye, nahi toh gile shiqwe hone lagte hain.

12. Life mein jitna bhi try kar lo, kuch na kuch toh chootega hi. To jahan hai wahi ke maze lete hain.

13. Tum pehle bhi itni khoobsurat thi ya waqt ne kiya koi haseen sitam?

14. Agar main tumhare saath do minute aur rahi toh Mujhe tumse pyaar ho jaega, phir se. Aur tumhe nahi hoga, phir se.

15. Kuch logon ke saath rehne se hi sab theek ho jata hai.

16. Teri smile kitni dangerous hai pata hai. Mere paas dil hota toh pakka aa jata ispe.

17. Ishq meri sehat ke lie accha nahi hai.

18. Khud pe daya karna band karo, aur khud se pyaar karna seekho.

19. Bunny: Tune abhi tak duniya nahi dekhi hai, tujhe kya alag alag deshon me rehne ka nasha kya hota hai! Naina: Aur Tumhe kya pata apno ke saath rehna kya hota hai!

20. Bunny: Tu janti nahi ki kisi anjaan family ke saath baithkar unki life story sunna kya hota hai! Naina: Tum jaante nahi ki apne purane doston ke saath baith ke wahi purane kisse dohrana kya hota hai!

21. Bunny: Kisi din tujhe San Francisko me na apna favorite mutton burger khilaunga, tu pagal ho jayegi. Naina: Kisi din mai tumhe apne haath ki mutton biryani khilaungi, tum burger bhool jaoge.

22. Bunny: Tumne Paris nahi dekha hai Naina! Naina: Tumne kabhi ek bache ko janm lete dekha hai!

23. Bunny: Johannesburg, world cup, Andres Iniesta ka winning Goal! Naina: Wankhede.. Mahendra Singh Dhoni ka winning chakkaaaaa!
Bunny: California ki dhoop. Naina: Bambai ki baarish..
Bunny: Blueberry cheesecake. Naina: Gajar ka halwa..
Bunny: Broadway pe phantom of the opera. Naina: Maratha Mandir mein DDLJ.... with popcorn!

24. Tu right nahi hai Naina, bas mujhse bahut alag hai.

25. Tu smart hai, tu confident hai, tu andar se jitna harami hai teri shakal utni hi shareef hai!

26. Badtameezi ek bimaari hai, aisi bimaari joh dheere dheere waqt ke saath budhape mein badal jaati hai, main kehta hoon jab tak budhapa nahi aata thodi badtameezi hi kar lete hain!

27. Nahi bol payi, Bas nahi bol payi! Mujhe usse jitna pyaar tha, Usse kahin zyada usko apne khwabon se tha. Takleef Hui lekin iss baat ki khushi bhi thi ki mai apne sath wapas yaadon ka bada sa suitcase le jaa rahi thi, jinhe mai kabhi nahi bhool paungi! Wo din, wo raatein, wo hasi, wo masti, wo dosti, Bunny! Wo apne khwabon ki or itni tezi se dauda ki palak jhapakte hi gayab ho gaya!  Usne kabhi mudke nahi dekha ..... aur maine kabhi intezar bhi nahi kiya!

28. Na boldiya unko, Tujhe haan jo bolna tha!

29. Kyuki phasa diya hai tune mujhe, watt laga di hai meri. Mai ab bhi wahi sapne dekh raha hoon lekin 2 ticket pe. Duniya ka kona kona dekhna chahta hoon lekin tera haath pakad ke!

30. Waqt kisike liye nahi rukta, beetta waqt hai lekin kharch ham hote hai.

31. Tumhari Smile kitni dangerous hai pata hai! Mere paas Dil hota na, teri Smile pe pakka aa jata!

32. Mai pehle aise akeli kahin nahi gayi! To ab chal! Kuch nahi hoga, bahot maza aayega, Trust Me!

Don’t know about you, but I’ve watched Yeh Jawaani Hai Deewani more than 50 times. (Aise to kabhi diary nahi rakhi, bas ek din Appy Fizz pee ke total maar raha tha  to kuch 46-47 times tak yaad aaya, chalo aap safety ke liye 50 likh lo!)

It’s like whenever there’s a night out with cousins and we decide to watch some movie, after a quarrelsome fight over different opinions by everyone, we end up watching Yeh Jawaani Hai Deewani!

No doubt, it’s the best! So, how many times have you watched it?

Ahh! one last thing, can you find all the 20 words from the YJHD puzzle below? 

Write your own content on FeedingTrends
Write