Dear Diary ( Day-7)

Jan 29, 2022

2 min read

Write your own content on FeedingTrends
Write

Hello diary!!!🥶😶‍🌫️
Bahut sardi hai yaar



Waise pata hai kal jo overthinking ke baare mai bola tha uske baare mai itna thought nahi de payi pata nhi kyun 

Oh wait yaad hai toh kal ke baare mai ?
Nahi toh page ulat lete hai 📖

Dear Diary (Day-6):https://feedingtrends.com/dear-diary-day-6

Waise pata hai aaj badi strange cheez hui toh meko mere jiju ne naya iphone gift kara toh 36 hrs hi hua hai I have been using my new phone toh usme na sab hogya bas iMessage login nahi ho rahi thi

Toh I contacted Apple customer care maine already chat pe baat kar rakhi thi aur meko response satisfactory wala nahi mila tha toh mai thoda frustrated pichli baar chat Pé baat huyi thi iss baar call pe baat huyi yaar woh International customer support waloon ki accent ke saath unka behaviour bhi bahut sahi hai yaar woh apne customers ka call kaat te bhi nahi hai kyunki they respect the customer and wait karne ke time woh jaise ki how’s the weather jaise questions karte hai yaar yeh log actually apni salary justify karte hai. 

Waise pata aaj mai apni ek cousin ke admission ke liye gayi thi kal wali baat yaad hai na woh responsible wali dekh rahi ab 
Yaad nahi ho toh ulat lete hai Page

Dear Diary (Day-6):https://feedingtrends.com/dear-diary-day-6


Toh mai as a guardian apne sibling ka admission karwane ja rahi 😂😂

Yeh na Indian family mai ek achievement hoti hai jab aapko responsibility di jaati hai toh aisa lagta hai finally ek human consider kiya jata hai toh 
Relatable hai na?

Waise toh hua kya laut te waqt apni cousin ka hone wale college se ek ola wala mila Woh bola hum uske pehle customer hai toh from adding the otp to ride confirm karna sab kiya phir ride khattam hone ke baad thoda enlighten kiya usko regarding ola services and phone wagera ka function Woh bola woh graduate hai par phone ka use nahi pata tha thoda strange lagi mujhe woh baat par chalo woh aadmi ko help karke 
Bahut Khusi huyi mujhe 

Toh Wahan meri ek aur cousin bolti hai 
Bhagwan ne usko humare paas bheja tha shayad yeh humare generation ko cringe lage par I truly believe in spiritualism toh usko madad ke liye god choose us

Toh kya mai apne aapko layak samjh un ab?😂


Waise uske baad Meri cousins chali gayi apne ghar ab mujhe unki yaad aa rahi hai

Padhai bhi karni hai
Deep thought mai doobna hai
And most importantly priorities you know 
Future ke baare mai overthinking karni bhi toh hai yaar😂!!

Write your own content on FeedingTrends
Write