Dear Diary (Day 11)

Feb 16, 2022

1 min read

Write your own content on FeedingTrends
Write

Hey bro,

Kehte hai jab khone ke liye kuch nahi hota tab hum parwa karna chor dete hai , Life ke aise stage mai hoon jahan care karne ka mann nahi karta ya phir logo ka behaviour dekh ke concern turant rafu chakkar ho jati hai, You know what apne hi humesha dukh dete hai yeh mai humesha se sunti aa rahi hoon aaj uska matlab bhi samaj aa gaya actually gairoon ki baat hum sunte nahi toh humhe dikkat nahi hoti apno ki sunte hai tabhi dikaat hoti hai. Toh yaar sun ne mai hi problem hai

Ignorance is bliss wali baat aaj samaj aayi

Dheere dheere saare attachments se picha chuth raha hai mera ya attachment se concerned log hi mere se picha chuda liye pata nahi anyways

Abhi saach mai I don't have anything to lose ab toh Rona bhi nahi aata hai aur pata hai nature ke saath connect karna khulke saans lene ka logic kabhi palle nahi pada , aaj pata nahi lag raha sab ek hi din mai feel hogaya ghar se bahar nikli ek alag si shanti feel huye na koi stress na koi tension na koi relation tutne ka gum na kisiko dukhi karne ka stress bas shanti si feel huyi.

And humesha mujhe samaj nahi aata tha ki mujhe dusroon ki tarah mera ex yaad kyun aata aaj mujhe samaj aaya ki jab koi insaan tumhe achi yaadein de tab tum usko yaad karoge na , yaadein hi nahi de paya koi toh dil ya dimag mai kese ayega woh insaan ya jab woh nahi hoga toh toh kabhi uske jane ka ehsaas ya uski wajah se khali pann bhi feel nahi hoga.

Pichli wali convo :-

https://feedingtrends.com/dear-diary-Day-10

Write your own content on FeedingTrends
Write