45 Heartfelt Verses and Couplets By Ayushmaan Khurana That We All Will Relate To

Nov 20, 2019

12 min read

Write your own content on FeedingTrends
Write

Roadie 'Ayushmann Khurrana' ventured into TV business as a host and VJ, but the lady of fortune had something else in store for him. Amazing things just kept on unfolding and in no time Ayushmann Khurrana became a gem for the Bollywood industry. 
 

We all know that he is packed with numerous talents, and he never fails to entertain the audience. But wait, did you ever get a chance to wonder at his writing skills? Besides singing soulfully and acting magically, Ayushmann also writes deep. 

His poetries and quotes are a sensation among the youth, and you never know that he gets another national award for this. Until that happens, he is one screen name that has become a modern definition of versatility for us. 

He is an actor, singer, and poet, with equal perfection. Not many people know this, but his words have been spreading the right message with much impact. When you'll read along, you will realise it yourself. 

Feeding Trends brings to you 45 poetries/verses by Ayushmann Khurrana, which will leave you in awe for a while. All these poems and quotes by Ayushmann Khurrana resonate with our lifestyle and underlying truths of the contemporary world.

45 Quotes, Verses & Couplets by Ayushmann Khurrana

1 - Bachpan Mein Papa Ki Lagayi Bandishon Ko Todne Mein Bahut Mazaa Aata Tha, 

Ab Badey Ho Kar Khud Par Lagayi Bandishein Todi Nahi Jaati

2 - Kya Hai Sukoon? 

Ghar Ke Aangan Ki Mitti Mein Pehli Baarish Ki Boond

 


 

3 - Kitna Aasan Tha Bachpan Mein Sulana Humko,

Neend Aa Jaati Thi Pariyon Ki Kahani Sun Kar


 

4 - Main Gaya Tha Soch Kar Baatein Bachpan Ki Hongi, 

Dost Mujhe Apni Tarakki Sunaane Lage

 


 

5 - Kuch Nahi Milta Duniya Mein Mehnat Ke Bagair, 

Mera Apna Saya Mujhe Dhoop Mein Aane Ke Baad Mila


 

6 - Maine Takiye Se Rui Nikaal Kr Badal Bana Diye, 

Jo Khwaab Poore Na Ho Sake, Yun Hi Uda Diye


 

7 - Raaste Khoobsurat Hain Tumhare Saath, 

Manzil Ki Filhaal Baat Nhi Karte


 

9 - Aankhen Bhi Kholni Padti Hain Ujaale Ke Liye, 

Keval Sooraj Ke Nikalne Se Hi Andhera Nahin Jata


 

10 - Uss Gali Ne Yeh Sun Ke Sabr Kiya, 

Ki Jaane Waale Yahaan Ke The Hee Nahi


 

11 - Tum Is Sheher Ki Rivaayat Se Anjaan Ho Dost, 

Yahaan Yaad Rehne Ke Liye, Yaad Dilaana Padta Hai.


 

12 - Baat Baat Pe Muskurata Hai Ye Aadmi, 

Kisi Chote Sheher Se Aaya Hua Lagta Hai


 

13 - Dikhane Lagta Hai Wo Khwaab Aasmaano Ke, 

Zameen Se Jab Bhi Mai Manoos Hone Lagta Hoon


 

14 - Jis Saadgi Ne Mujhe Kahin Ka Nahi Rakha 

Wo Aaj Keh Rahi Hai Kuch Toh Gunah Kar


 

15 - Zamaane Mein Tanhaiyon Ka Alam Toh Dekhiye, 

Hum Khud Ko Taaakte Hain Le Le Ke Selfiyan


 

16 - Zindagi Ne Bahut Zimmedaar Bana Rakha Hai

Mujhe Aaj Bas Zidd Karne Ka Mann Hai


 

17 - Roz Har Waqt Yahi Sochta Hoon Main

Ki Apni Hi Nakal Karne Mein Maat Kha Raha Hoon Main


 

18 - Koi Gair Yaar Baney, Koi Yaar Baney Gair,

Aise Hi Hai Zindagi, Kisi Mantaq Ke Bagair


 

19 - Kitna Jaanta Hoga Woh Shaks Mere Baare Mein, 

Mere Muskuraane Pe Jisne Pooch Liya Tum Udaas Kyun Ho


 

20 - Yeh Toh Parindo Ki Masoomiyat Hai Verna, 

Doosre Ke Gharon Mein Ab Aata Jata Kaun Hai


 

21 - Yahan Har Kisi Ko Daraaron Mein Jhaankne Ki Aadat Hai,

Darwaaze Khol Do Koi Poochne Tak Na Aayega


 

22 - Meri Khwahish Sirf Main Hoon, 

Isliye Sab Mein Khud Ko Hi Talaashta Hoon


 

23 - Raat Bhar Chalti Rahi Ungliyan Mobile Par

Kitaab Sine Pr Rakh Kar Soye Hue Ek Zamana Ho Gaya


 

24 - Milta Hai Kabhi Aise Jaise Barso Ki Jaan Pehchaan Ho, 

Aur Phir Milta Hai Aise Jaise Bilkul Hi Anjaan Ho


 

25 - Zikr Tera Har Lafz Mein Karoonga..

Fikr Na Kar, Tera Naam Na Loonga


 

26 - Mohabbat Mein Itminaan Rakhna,

Jism Se Pehle Jaan Rakhna


 

27 - Khuda Jaane Ke Taghaaful Hai Ya Naadani Uski,

Woh Mera Haal Samajhta Hai, Aur Samajhta Bhi Nahi


 

28 - Yeh Kaunsa Andaaz Mohabbat Sikha Gayi Usko, 

Who Rooth Kar Bhi Mujhse Muskura Ka Milta Hai


 

29 - Pehle Dost Bane, Dost Se Jaan Bane, 

Jaan Se Anjaan Bane, Aur Bas Zindagi Aagey Badh Gayi


 

30 - Seekh Kar Gaya Wo Mohabbat Mujhse

Ab Jisse Bhi Krega, Bemisaal Krega


 

31 - Main Shayad Dikhta Hoon Tumhe Ki Main Adhoora Hoon 

Asal Mein Main Khud Mein Hi Bahut Poora Hoon

32 - Safalta Ki Oonchai P Rho Toh Dheeraj Rakhna, 

Pakshi Bhi Jaante Hain Ki Aasmaan Mein Baithne Ki Jagah Nhi Hoti


 

33 - Wo Waada Jo Tumne Kabhi Kiya Hi Nahi, 

Wo Waada Kabhi Yun Hi Nibha Jana


 

34 - Wo Jo Taqdeer Mein Likhe Nhi Hote Hain

Unhi Ki Aarzoo Ko Ishq Kehte Hain


 

35 - Khaamoshiyon Ka Mazaa Alag Hai,

Keh Kar Baat Bigaado Mat


 

36 - Ajeeb Lutf Tha Nadaaniyon Ke Aalam Mein

Samajh Mein Aayi Toh Baaton Ka Wo Maza Bhi Gaya


 

37 - Hasna Chahun Bhi Toh Hasne Nhi Deta Mujhko

Aisa Lagta Hain Koi Mujhse Khafa Hai Mujhme


 

38 - Bahut Dino Baad Tumhari Almaari Kholi,

Aur Mila Tumhari Khushbu Se,

Jise Main Janta Hoon Tumse Bhi Behtar,

Kyunki Who Rehti Thi Mere Saath Tumhare Jaane Ke Baad Bhi.


 

39 -  Keemti Thha Woh Itna,

Ki Jaane Na Diya Usey Kho Kar Bhi


 

40 - Roshan Rehta Hai Ye Sheher Apne Tarike Se

Yahan Chiragon Se Zyada Dil Jalte Hain


 

41 - Kuch Door Sath Chalo, Us Mod Tak Hi

Jab Mod Aayega, Mai Bataunga Hi Nahi


 

42 - Ek Umr Gustaakhiyon Ke Liye Bhi Naseeb Ho

Yeh Zindagi Toh Bus Adab Mein Hi Guzar Gayi


 

43 - Mujhe Poora Mat Janna,

Agar Janna Ho Toh Waqt Lena, Purani Zindagi

Magar Mujhe Poora Mat Janna.


 

44 - Hai Tu Meri Us Kitab Ki Tarah Shaista Jise Padhne Na Doonga Kisi Ko

Keh Dunga Jhooth Ki Na Hai Aur Na Kabhi Thi Tu Mere Paas, Kisi Kone Mein Chupi


 

45 - Neend Laapata Hai.

Tera Pyaar Thoda Sakht Hai Ya Shayad Mera Takiya Thoda Naram


 

If you were able to relate with these Ayushmann Khurrana poetries, quotes and verses, much more excitement is waiting for you. Ayushmann is writing a book which is going to release soon.

We are waiting for Ayushmann's book, are you too? 
 

Read More: Ayushmann Khurrana Unconventional Movies

ExploreFeeding Trends | Events

Write your own content on FeedingTrends
Write